Sunday, August 11, 2013

Only Eyes Talk….

2 Kicks So Far
I saw her, leaning over the balcony railing. I stopped and waved at her. She waved back , smiling like the sun breaking through the clouds…

Kal raat meri aankhon ne fir mujhse ye shikayat ki
Ki fir maine teri nigahon mein kho jaane ki himakat ki
Fir bola maine khud ko ki tujhse nazrein hata loon
Ki tabhi teri kaifiyat mein mashroof meri hasraton ne mujhse khilafat ki

Who tera palkon ko utane giraane ke tevar
Fir aankhien paini kar ke kehna, “ki bus kar ghoorna”
Who tera mujhe dekh ke andekha karne ki adda
Fir aankhein badi kar ke poochna, “ki aakhir majra kya hai”
Sochta hoon yeh to samajh aata hai ki meri niyat ne kyun mujhse bagawat ki
Kal raat meri aankhon ne fir mujhse shikayat ki

Thursday, July 25, 2013

Enchanted

1 Kicks So Far
My first ever romantic poem or shayari if you will. Don’t know where it came from I guess I must be going through one of those few warm and fuzzy moments. Believe me they seldom strike. I read this at the back of a book called “Looking for Alaska”. Alaska being the name of the girl the protagonist falls in love with.

If people were rain, I was a drizzle and she was a hurricane…

Here Goes…

Tu palakein jhuka ke aankhein phair bhi le to kya, tere liye koi badi baat nahin
Tu gardan jhuka ke chehra chupa bhi le to kya, tere liye koi badi baat nahin
Uss pehli nazar ki tasveer aankhon mein liye firta hoon main
Iss umeed mein ki tu bhooley se usse dekh le ab raaton ko aankhain khol ke soya karta hoon main
Tu nazarein chupa ke yeh umeed todh bhi de to kya, tere liye koi badi baat nahin

Chahat aur khwabon ka ek alag sa rishta hota hai
Bematlab ki hassi aur khuli aankhon se bayaan hota hai
Tu aankhein mund ke yeh khwaab todh bhi de to kya, tere liye koi badi baat nahin

Ab akele mein hasta hoon mein aksar yeh soch kar
ki acha hua woh chand lamhon ki mulakat hui hi nahin, ki kuch karaar baki hai
ki mujhe dekh ke tere labon tak hassi aayi nahin, ki kuch karaar baki hai
Tu muskura kar who karaar cheen bhi le to kya, tere liye koi badi baat nahin

Love though highly unreliable, is a relentless feeling. Everyone should feel it every now and then, specially a writer. It helps you explore sides of you which you generally would not go explore. What people generally call crazy.


P.S. : For everyone lactose intolerant, you might not like this…. Very Cheesy… 

Tuesday, July 23, 2013

Individuality...

0 Kicks So Far
Solitude can only help you find yourself but individuality stands out only in a crowd...

Aakele mein Dekha Khud ko to socha maine ki Kitna adhoora hoon main

Fir nikla main apni reguzhar par, milla uss bheed se to paya Kitna poora hoon main...

Monday, July 8, 2013

Of Today and Tomorrow...

0 Kicks So Far
Kuch to likh raha hoon main, inn soti soti si palakon main
Kuch to likh raha hoon main, unn bholi bhooli si yaadon se
Kuch to likh raha hoon main, sahi galat ki iss sihyayi se
Kuch to likh raha hoon main, aaj aur kal ke beech bachey inn panno main

Kuch tajoorbon ki baatein
Kuch kalpanaon ki kahani
Koi ganna gun gunane layak
Koi kissa doston ko sunane layak

Kuch to likh raha hoon main, kal wapas aakar padney ke liye
Kuch to likh raha hoon main, aaney waley kal se ladney ke liye

Kuch sapne aise jo hassi de
Kuch apne aise jo tasali de
Koi waada nibhane layak
Koi rishta jataney layak

Kuch to likh raha hoon main, aati jaati inn tanhaiyon main
Kuch to likh raha hoon main, aaj aur kal ke beech bachey inn panno main

Kuch to likh raha hoon main, inn soti soti si palakon main

Friday, April 12, 2013

Found…

0 Kicks So Far
We met me and her in a dark deep alley

She looked like a book I had long back read

"Just a few more steps" came her voice

She drew closer with my every breath

She looked heavenly, her face had a bewildering glow

My thoughts stopped at her serene eyes, looking at me, stemming the flow

A blank struck me as she took my hand and pointed in a direction

I looked at her skeptical, out of thoughts, incapable of any discretion 

She came closer and with an embrace she whispered "don't worry this is the right step"

My name is Hope and I am here to help

Hope: At times false, easily lost, twisted, evil, a true destroyer and a relentless tormentor. Yet hope I must, for hope might be the only one who will keep coming back to me no matter where I am. Hope I must, for hope will guide me through these wretched times. Hope I must, for hope alone gives me the strength to face the morning sun and to live for moments that bring happiness.

Monday, April 8, 2013

In Hope I Find You…

0 Kicks So Far

Nangey paav chaley theey hum uss tapti dhoop ki chadar mein

Kabhi aise challey ki waqt tham jaye

Kabhi aise tehrey ki waqt ruk na paye

Kuch aisi baatein hui ki kuch kaha hi nahin

Kuch aisi khamoshiyan hui ki kuch kehne ko raha hi nahin

Kabhi aisi mulakatein ki laga hum hai kitne anjaan

Kabhi bin milley hi laga ki hum hai ek samaan

Kuch yaadein aisi thi jo bewajah hassi mein gum ho gayi

Kuch lamhey aise baney jinhey soch hum har roz jiye

Woh chaav ki umeed, woh raastey milne ki ass

Nidar uss tapti dhoop se har roz milley hum

Uss tapti dhoop ki chadar mein phir nangey paav challey hum

~ To Family, To Friends, To Love and Hope... for every moment that we rejoice gives a reason to see the morning sun



Sunday, February 3, 2013

Dream On...

0 Kicks So Far

Raat ko mere aankh mein aaya, ek adhoora sapna

Us sapne se poocha maine, kis mitti ka bana hai tu

Adha adhoora iss palak se uss palak ghoomta hai

Din main jo aankhein beech loon to bhi to tu peecha na chodta hai

Raat ko aa aakar aankhon main toot ta hai

Shant akela semha sa kabhi andhere kabhi ujaale mein kya doondta hai

Kissi se kuch na kehta hai

Tu kyun chup chup sa rehta hai

Sapna bola, main aisi duniya ka vasi hoon jahan din-raat ka koi bhaedh nahin

Jo poora ho jaoon to mein sapna nahin

Main to kabhi rukta nahin

Pal mein toot-ta pal mein ban-ta hoon

Kabhi poorani baton ki to kabhi sunehre kal ki tasveerein doondta hoon

Jo so gayi hai tere andar ki chahatein unhein jhanjhorta hoon

Issliye kissi se kuch na kehta hoon

Issliye chup chup main rehta hoon


Thursday, January 17, 2013

Perfect Endings...

1 Kicks So Far

Kal rah pe chalte chalte, ek udte patey se poocha maine
Har jhokein se tu bhidta hai, pag pe chalte har prani ke pairon ki maar tu sehta hai
Kisi se kuch na kehta hai
Tu kyun chup chup rehta hai
Woh bola mujhse, jhokon ka kaam to hai behna woh teri taap bhujatein hai
Pairon ka kaam to hai badna, ye tujhko aagey le jaatein hai
Hai shor bahut iss duniya main jis shor ka koi aant nahin
Main shor macha kar aur yahan kis parinaam ko paunga
Main to chota sa pata hoon kal fir nit naya khil aaunga
Tu mujhko pag pe dekh dukhi na ho, main to paed ki meeti yaadon mein jeeta hoon
Isliye kissi se kuch na kehta hoon
Isliye chup chup main rehta hoon

The final page of every chapter, the final chapter of every book, most probably for a lot of people out there the most important aspect of life- closure, an overused and overvalued term.

We all work very hard to get closure, to find a way to attain that perfect ending to things but is it ever possible. Is there a perfect ending to anything? I think not. Things end and then we start over, trying to erase the memories of our past, trying to find meaning in what we did and why we lost, like a pin ball hitting going back and forth, coming to one conclusion after another till we find out that chances, the options, are over… with open issues and no closure.

But closure is so important, I push myself to write good last lines, for my poems, for everything else I write, because it gives meaning to everything I write. Those final lines define what my story is about but then again that is only an end because I want to end it and I think in there lies the answer. 


You can almost never find closure or you can find it in you to move on, to let go, to find the perfect ending. 

What though the radiance which was once so bright
Be not forever taken from my sight,
Though nothing can bring back the hour
Of splendour in the grass, of glory in the flower;
Grief not, rather find,
Strength in what remains behind,
In the primal sympathy
Which having been must ever be,
In the soothing thoughts that spring
Out of Human suffering,
In the faith that looks through death
In years that bring philophic mind.
William Wordsworth