Thursday, July 25, 2013

Enchanted

1 Kicks So Far
My first ever romantic poem or shayari if you will. Don’t know where it came from I guess I must be going through one of those few warm and fuzzy moments. Believe me they seldom strike. I read this at the back of a book called “Looking for Alaska”. Alaska being the name of the girl the protagonist falls in love with.

If people were rain, I was a drizzle and she was a hurricane…

Here Goes…

Tu palakein jhuka ke aankhein phair bhi le to kya, tere liye koi badi baat nahin
Tu gardan jhuka ke chehra chupa bhi le to kya, tere liye koi badi baat nahin
Uss pehli nazar ki tasveer aankhon mein liye firta hoon main
Iss umeed mein ki tu bhooley se usse dekh le ab raaton ko aankhain khol ke soya karta hoon main
Tu nazarein chupa ke yeh umeed todh bhi de to kya, tere liye koi badi baat nahin

Chahat aur khwabon ka ek alag sa rishta hota hai
Bematlab ki hassi aur khuli aankhon se bayaan hota hai
Tu aankhein mund ke yeh khwaab todh bhi de to kya, tere liye koi badi baat nahin

Ab akele mein hasta hoon mein aksar yeh soch kar
ki acha hua woh chand lamhon ki mulakat hui hi nahin, ki kuch karaar baki hai
ki mujhe dekh ke tere labon tak hassi aayi nahin, ki kuch karaar baki hai
Tu muskura kar who karaar cheen bhi le to kya, tere liye koi badi baat nahin

Love though highly unreliable, is a relentless feeling. Everyone should feel it every now and then, specially a writer. It helps you explore sides of you which you generally would not go explore. What people generally call crazy.


P.S. : For everyone lactose intolerant, you might not like this…. Very Cheesy… 

Tuesday, July 23, 2013

Individuality...

0 Kicks So Far
Solitude can only help you find yourself but individuality stands out only in a crowd...

Aakele mein Dekha Khud ko to socha maine ki Kitna adhoora hoon main

Fir nikla main apni reguzhar par, milla uss bheed se to paya Kitna poora hoon main...

Monday, July 8, 2013

Of Today and Tomorrow...

0 Kicks So Far
Kuch to likh raha hoon main, inn soti soti si palakon main
Kuch to likh raha hoon main, unn bholi bhooli si yaadon se
Kuch to likh raha hoon main, sahi galat ki iss sihyayi se
Kuch to likh raha hoon main, aaj aur kal ke beech bachey inn panno main

Kuch tajoorbon ki baatein
Kuch kalpanaon ki kahani
Koi ganna gun gunane layak
Koi kissa doston ko sunane layak

Kuch to likh raha hoon main, kal wapas aakar padney ke liye
Kuch to likh raha hoon main, aaney waley kal se ladney ke liye

Kuch sapne aise jo hassi de
Kuch apne aise jo tasali de
Koi waada nibhane layak
Koi rishta jataney layak

Kuch to likh raha hoon main, aati jaati inn tanhaiyon main
Kuch to likh raha hoon main, aaj aur kal ke beech bachey inn panno main

Kuch to likh raha hoon main, inn soti soti si palakon main