Tuesday, April 14, 2015

Fill In The Blanks

3 Kicks So Far
Kuch Jagah ki killat lagti hai inn akeli bheed ki galiyon main
Kuch Jagah ki killat lagti hai inn sukhi suni si ankhiyon main
Chal raha kahan tu tez bata
Ruk teher zara aur aas jata
Kuch nikal bahar aur bheed main ja
Kuch shor to sun, apni awaaz utta
Kuch jagah ki killat lagti hai inn khali neend ki ratiyon main
Kiss guud vichaar main dubba tu
Har jagah doond raha mansuba tu
Dil khol zara aur baat bata
Kuch hansi to le, mazak bana
Kuch jagah ki killat lagti hai teri inn bematlab sason main
Kuch Jagah ki killat lagti hai inn sukhi suni si aankhon main

------------

It's a beautiful world. It's a beautiful life. It's worth living.. A little more.. A little better.

Sunday, August 11, 2013

Only Eyes Talk….

2 Kicks So Far
I saw her, leaning over the balcony railing. I stopped and waved at her. She waved back , smiling like the sun breaking through the clouds…

Kal raat meri aankhon ne fir mujhse ye shikayat ki
Ki fir maine teri nigahon mein kho jaane ki himakat ki
Fir bola maine khud ko ki tujhse nazrein hata loon
Ki tabhi teri kaifiyat mein mashroof meri hasraton ne mujhse khilafat ki

Who tera palkon ko utane giraane ke tevar
Fir aankhien paini kar ke kehna, “ki bus kar ghoorna”
Who tera mujhe dekh ke andekha karne ki adda
Fir aankhein badi kar ke poochna, “ki aakhir majra kya hai”
Sochta hoon yeh to samajh aata hai ki meri niyat ne kyun mujhse bagawat ki
Kal raat meri aankhon ne fir mujhse shikayat ki

Thursday, July 25, 2013

Enchanted

1 Kicks So Far
My first ever romantic poem or shayari if you will. Don’t know where it came from I guess I must be going through one of those few warm and fuzzy moments. Believe me they seldom strike. I read this at the back of a book called “Looking for Alaska”. Alaska being the name of the girl the protagonist falls in love with.

If people were rain, I was a drizzle and she was a hurricane…

Here Goes…

Tu palakein jhuka ke aankhein phair bhi le to kya, tere liye koi badi baat nahin
Tu gardan jhuka ke chehra chupa bhi le to kya, tere liye koi badi baat nahin
Uss pehli nazar ki tasveer aankhon mein liye firta hoon main
Iss umeed mein ki tu bhooley se usse dekh le ab raaton ko aankhain khol ke soya karta hoon main
Tu nazarein chupa ke yeh umeed todh bhi de to kya, tere liye koi badi baat nahin

Chahat aur khwabon ka ek alag sa rishta hota hai
Bematlab ki hassi aur khuli aankhon se bayaan hota hai
Tu aankhein mund ke yeh khwaab todh bhi de to kya, tere liye koi badi baat nahin

Ab akele mein hasta hoon mein aksar yeh soch kar
ki acha hua woh chand lamhon ki mulakat hui hi nahin, ki kuch karaar baki hai
ki mujhe dekh ke tere labon tak hassi aayi nahin, ki kuch karaar baki hai
Tu muskura kar who karaar cheen bhi le to kya, tere liye koi badi baat nahin

Love though highly unreliable, is a relentless feeling. Everyone should feel it every now and then, specially a writer. It helps you explore sides of you which you generally would not go explore. What people generally call crazy.


P.S. : For everyone lactose intolerant, you might not like this…. Very Cheesy… 

Tuesday, July 23, 2013

Individuality...

0 Kicks So Far
Solitude can only help you find yourself but individuality stands out only in a crowd...

Aakele mein Dekha Khud ko to socha maine ki Kitna adhoora hoon main

Fir nikla main apni reguzhar par, milla uss bheed se to paya Kitna poora hoon main...