I saw her, leaning over the balcony railing. I stopped and
waved at her. She waved back , smiling like the sun breaking through the clouds…
Kal raat meri aankhon
ne fir mujhse ye shikayat ki
Ki fir maine teri nigahon
mein kho jaane ki himakat ki
Fir bola maine khud ko
ki tujhse nazrein hata loon
Ki tabhi teri kaifiyat
mein mashroof meri hasraton ne mujhse khilafat ki
Who tera palkon ko
utane giraane ke tevar
Fir aankhien paini kar
ke kehna, “ki bus kar ghoorna”
Who tera mujhe dekh ke
andekha karne ki adda
Fir aankhein badi kar
ke poochna, “ki aakhir majra kya hai”
Sochta hoon yeh to
samajh aata hai ki meri niyat ne kyun mujhse bagawat ki
Kal
raat meri aankhon ne fir mujhse shikayat ki