Raat ko mere aankh mein aaya, ek adhoora sapna
Us sapne se poocha maine, kis mitti ka bana hai tu
Adha adhoora iss palak se uss palak ghoomta hai
Din main jo aankhein beech loon to bhi to tu peecha na
chodta hai
Raat ko aa aakar aankhon main toot ta hai
Shant akela semha sa kabhi andhere kabhi ujaale mein kya
doondta hai
Kissi se kuch na kehta hai
Tu kyun chup chup sa rehta hai
Sapna bola, main aisi duniya ka vasi hoon jahan din-raat ka
koi bhaedh nahin
Jo poora ho jaoon to mein sapna nahin
Main to kabhi rukta nahin
Pal mein toot-ta pal mein ban-ta hoon
Kabhi poorani baton ki to kabhi sunehre kal ki tasveerein
doondta hoon
Jo so gayi hai tere andar ki chahatein unhein jhanjhorta
hoon
Issliye kissi se kuch na kehta hoon
Issliye chup chup main rehta hoon